Mohabbat Ki Baat
चलो मोहब्बत की बात करें
अब
मैले जिस्मों से ऊपर उठ कर
भूलते हुए की कभी
ज़रूरतों के आगे
घुटने टेक चुके हैं हम
और देख चुके हैं
अपनी रूह को तार तार होते
झूठे फ़खर के साथ
.
चलो मोहब्बत की बात करें
अब
ज़िन्दगी के पैरों तले
बेरहमी से रौंदे जाने के बाद
मरहम लगायें ज़ख़्मी वजूद पर
जो शर्म से आँखें झुका कर
बैठा है सपनों के मज़ार पे
मोहब्बत की बलि का मातम मनाता हुआ
.
चलो मोहब्बत की बात करें
अब
इससे बुरी कोई बात नहीं कर सकते
हम अपनी ही ज़िद्द में
धोखा दे चुके हैं अपने आप को
खेल चुके हैं ख़ुद अपनी इज्ज़त से
भोग चुके हैं झूठ को सच की तरह
.
अब
इन हालात में
मोहब्बत जैसी कोई
ग़ैरज़रूरी बात ही कर सकते हैं हम
–==–
Chalo mohabbaton ki baat karein
Ab
Apne maile jimson se ooper uthein
Bhooltey huye ki kabhi
Zarooraton ke aage
Ghutne tek chuke hain hum
Aur dekh chuke hain
Apni rooh ko taar taar hote
Jhoothe fakhar ke saath
.
Chalo mohabbaton ki baat karein
Ab
Zindagi ke pairon taley
Buri tarah raunde jaane ke baad
Marham lagayein zakhmi vajood pe
Jo sharam se aankhein jhukar
Baitha hain sapnon ke majaar pe
Mohabbat ko bali chadhta dekhne ke baad
.
Chalo mohabbat ki baat karein hum
Ab
Issey buri koi baat nahin kar sakte
Hum apni hi zidd mein
Dhokha de chukey hain apne aap ko
Khel chukey hain khud apni izzat se
Bhog chukey hain jhooth ko sach ki tarah
.
Ab
In halaat mein
Mohabbat jaisa koi
Gairzaroori kaam hi kar sakte hain hum
-===-
Suniye
Suniye
एक ख़ुशी का पौधा अंदर
धीरे धीरे फूट रहा है
दर्द हाथ से रेत के जैसे
लम्हा लम्हा छूट रहा है
.
मुझसे पहले और कोई था
उस से पहले और कोई
नाम प्यार का लेकर जाने
कितनों से वो रूठ रहा है
.
दिल, आँखें और ज़ेहन के जैसे
तीन मतलबी मिल बैठे
जाने कौन किसे और कैसे
कितना कितना लूट रहा है
.
दरगाहें नापाक हुईं वो
जहाँ साजिशें ज़ेहन रचे
सच न हो पायेगा जीना
जो अज़लों से झूठ रहा है…
-==-
Ek khushi ka paudha ander
Dheere dheere phoot raha hai
Dard haath se reit ki tarah
Lamha lamha chhoot raha hai
.
Mujhse pehle aur koi tha
Ussey pehle aur koi
Naam pyar ka lekar jaane
Kitnon se vo rooth raha hai
.
Dil aankhein aur zehan ke jaise
Teen matlabi mil baithe
Jaane kaun kisey aur kaise
Kitna kitna loot raha hai
.
Dargaahein napaak huin vo
Jahan saazishein zehan rachey
Sach na ho payega jeena
Jo azalon se jhooth raha hai…
-==-