Khafa Mat Hona…
Khafa Mat Hona
Mujhko mehsoos ho raha hai dost
Tumhari aankhon se
Tumhari baton se
Tumhare har ik andaaz se
Tumhari khamoshi ki awaaz se
Milne ke tareeke se
Baat karne ke saleeke se
Yun takalluf sa dikhane se
Halke se gungunane se…
Jaise aaj tu kuchh mujhse khafa hai shayad…
Tujhe kasam hai mere ashqon ki
Tujhe kasam hai mer i aahon ki
Kasam hai mayus honthon ki
Kasam hai purnam nigaahon ki
Khuda ke liye door mat hona
Husn pe maghroor mat hona
Lajawaab ho hai khabar lekin
Aam insane se hoor* mat hona…
Tumne jab bhi mujhe sataya hai
Jab kabhi bhi rulaiya hai
Yani chaahat ke har imtehaan mein
Mere ishq ko bedaagh paaya hai…
Tum khud ko hoor kaho to kaho
Main tumhe hoor nahin keh sakta
Tum mujhse door raho to raho
Main tumse door nahin reh sakta…
Hoor khawahish hai bas ik khayal hai
Uske paas kahan shikwa aur malaal hai
Hoorein sirf suni sunai baatein hain
Unke paas kahan tere jaisi aankhein hain
Hoor apno ko bhoolna kya jaane
Teri tarah roothna kya jaane…
Ik tasavvur hai hoor ab to maanogi
Tum haqeeqat ho khud ko jaanogi
Main haqeeqat se door nahin reh sakta
Bas tabhi tumhey hoor nahin keh sakta…
*Hoor-fairy
–==–
ख़फा मत होना
मुझको महसूस हो रहा है दोस्त
तुम्हारी आँखों से
तुम्हारी बातों से
तुम्हारे हर इक अंदाज़ से
तुम्हारी ख़ामोशी की आवाज़ से
तुम्हारे मिलने के तरीके से
बात करने के सलीके से
यूँ तकल्लुफ सा दिखने से
हलके से गुनगुनाने से
जैसे आज तू कुछ मुझसे ख़फा है शायद…
तुझे कसम हैं मेरे अश्कों की
कसम है मेरी आहों की
कसम है मायूस होंठों की
कसम है पुरनम निगाहों की
ख़ुदा के लिए दूर मत होना
हुस्न पे मगरूर मत होना
लाजवाब हो है खबर लेकिन
आम इन्सां से हूर मत होना…
तुमने जब भी मुझे सताया है
जब कभी भी रुलाया है
यानि चाहत के हर इम्तेहाँ में
मेरे इश्क को बेदाग़ पाया है…
तुम खुद को हूर* कहो तो कहो
मैं तुम्हे हूर नहीं कह सकता
तुम मुझसे दूर रहो तो रहो
मैं तुमसे दूर नहीं रह सकता
हूर खवाहिश है बस इक ख्याल है
उसके पास कहाँ शिकवा और मलाल है
हूरें सिर्फ सुनी सुनाई बातें हैं
उनके पास कहाँ तेरे जैसी आँखें हैं
हूर अपनों को भूलना क्या जाने
तेरी तरह रूठना क्या जाने…
इक तसव्वुर है हूर अब तो मानोगी
तुम हकीकत हो खुद को जानोगी
मैं हकीकत से दूर नहीं रह सकता
बस तभी तुम्हे हूर नहीं कह सकता…
–==–
*हूर=परी
13 responses to “Khafa Mat Hona…”
Leave a Reply
This is very unique… so full of love…yet so real
…amazingly beautiful & immensely romantic 🙂
Khoob kaha…
Jo hoor nahi hai arthat jo haqeeqat nahi hai, usse door rahna namumkin hai… Sab duniyavi hai, isliye har umeed barkarar hai…:))
WOW This is a different world..
very well….
m in love with it… 🙂
very simple, n very beautiful.. reminded me of a title i got on fresher’s day long back..
tera hasee’n badan, marmaree’n sahi lekin..
tere jamaal ka bejaan martaba to nahin..
main tujhe tajmahal se misaal kaise doo’n..
tu ek zinda haqeeqat hai, maqbara to nahi’n.
the emotion with the poem is written is beatiful
Irshad bhai! nazm jaise ek dubli-patli pahadi nadi ki tarah, ithlaati hui, itna aaram se aur raftaar se chali hai ke … Bahut Khoob.
हूर खवाहिश है बस इक ख्याल है
उसके पास कहाँ शिकवा और मलाल है
हूरें सिर्फ सुनी सुनाई बातें हैं
उनके पास कहाँ तेरे जैसी आँखें हैं
aisa aap hi likh sakte ho!
हूरें सिर्फ सुनी सुनाई बातें हैं
उनके पास कहाँ तेरे जैसी आँखें हैं
हूर अपनों को भूलना क्या जाने
तेरी तरह रूठना क्या जाने…
उम्दा। बेहतरीन शब्द। खुबसूरत भावबोध।
aapne to pyaar ko hoor se bhi ooncha bata diya…amazing n lajawab…
TERA AKHLAQUE DETA HAI PATA TERI BULANDI KA,
TERA YEUN JHUK KE MILNA KEHTA HAI KE AASMAN TU HAI.
“Nadeem Bukhari”
bahut umda tareeqe se lafzon ko piroya hai………..
Chahaton ka mazaa, faasalon mein nahin
Aa chupa loon tumhe hauslon mein kahin
Sab se upar likha, hai tere naam ko
Khwaishon se jude silsilon mein kahin
Zindagi bewafa hai yeh maana magar
Chod kar raah mein jaoge tum agar
Cheen launga main aasman se tumhe
Soona hoga na yeh, do dilon ka nagar
Please write/share few more stanzas of this song…they are too good….pls reply aap kya sochte hain…
wah wah!!! aise koi apni priyatama se kahega toh woh baanvari hi rahegi kabhi ruthne ki soch bhi na rakhegi.. sir natmastak..