Ghazal-3
Ghazal-3
Mohabbat ke kissey ko jab bhi sunayein
Zara sa chhupayein zara sa batayein
Rehte nahin phool laakhon baras tak
Ye hai unki marzi vo aayein na aayein
Khud ko likhe khud kai khat dikha kar
Unhey gar banayein bigad he na jayein
Kitab-e-mohabbat mein na darz karna
Hamari wafa aur kisi ki jafayein
Mohabbat ka markaz madarsa wafa ka
Hamara bhi ghar hai kabhi aap aayein
Main roya nahin bas isee darr se ‘Kamil’
Nigahon se sapne chhalak he na jayein
–===–
Written on 09-05-98
ग़ज़ल-३
मोहब्बत के किस्से को जब भी सुनाएं
ज़रा सा छुपायें, ज़रा सा बताएं
रहते नहीं फूल लाखों बरस तक
ये है उनकी मर्ज़ी वो आयें न आयें
खुद को लिखे खुद कई ख़त दिखा कर
उन्हें गर बनाएं बिगड़ ही न जायें
किताब-ए-मोहब्बत में न दर्ज़ करना
हमारी वफ़ा और किसी की जफ़ाएं
मोहब्बत का मरकज़ मदरसा वफ़ा का
हमारा भी घर है कभी आप आयें
मैं रोया नहीं बस इसी डर से ‘कामिल’
निगाहों से सपने छलक ही न जाएँ
–===–
09-05-98 को लिखी
4 responses to “Ghazal-3”
Leave a Reply
Bahut Dino ke baad aap ko padha, bahut accha laga, Sach aap bas aap hain…Allah aap ke hunar ko isi terah barkarar rakhe…Aameen
Bahut Acchi Ghazal Hai….Har ek shaie nayaab hai…Kya Khoob likha hai..REHTE MAHI PHOOL LAKHON BARAS TAK….Wah Kamaal Hai AUr Akhri Shair bhi bahut khoob likha hai..MAIN ROYA…..
Dis is gr8888888888… m amazed…
gr8888888888… m amazed…
sir bahut bahut sunder dil kar raha hai padhte hi jaaye..seedhey dil mein pahunchti hai aapki kavita..