December 26, 2009

Hum Hi Khatawaar Hain

Hum hi khatawaar hain

Aapka har gila chaahton ki saza

Humne maana ki hum hi khatawaar hain

Aap khamosh kyon hain bata dein zara

Humne maana ki hum hi khatawaar hain

Uljhano mein nikaloge kitne pehar

Koi masla uthao nikalo gehar

Hum sunenge tumhe banke chup ki sada

Humne maana ki hum hi khatawaar hain

Aapko chhoone ka to iraada na tha

Hum chuyenge nahin ye bhi vaada na tha

Ab jo chhoo hi liya to bata do saza

Humne maana ki hum hi khatawaar hain

Hum to mitti pe likhey huye naam hain

Hum to deewar pe rakh diye jaam hain

Ab gira dein mita dein ya banke hawa

Humne maana ki hum hi khatawaar hain

–===–

Written on 30-03-98 at 1.45AM

हम ही ख़तावार हैं

आपका हर गिला चाहतों की सज़ा

हमने माना की हम ही ख़तावार हैं

आप खामोश क्यों हैं बता दें ज़रा

हमने माना की हम ही ख़तावार हैं

उलझनों में निकालोगे कितने पहर

कोई मसला उठाओ निकालो गहर

हम सुनें आपकी, बनके चुप की सदा

हमने माना की हम ही ख़तावार हैं

आपको छूने का तो इरादा न था

हम छुएंगे नहीं ये भी वादा न था

अब जो छू ही लिया तो बता दें सज़ा

हमने माना की हम ही ख़तावार हैं

हम तो मिटटी पे लिखे हुए नाम हैं

हम तो दीवार पे रख दिए जाम हैं

अब गिरा दें मिटा दें या बनके हवा

हमने माना की हम ही ख़तावार हैं

—===—

30-3-98 रात 1.45 बजे  लिखी

4 responses to “Hum Hi Khatawaar Hain”

  1. Nadeem Bukhari says:

    PHIR ITNE MAYOOS KIYUN HO USKE BEWAFAEE PAR,
    TUM KHUD HI TO KEHTE THEY WOH SAB SE JUDA HAI.

  2. NADEEM BUKHARI says:

    HAR BAR NA KAHA KAR KEH TUJHE CHOD DENGE HUM,
    NA HUM HI ITNE AAM HEIN NA YEH TERE BAS KI BAAT HAI.

  3. kavita says:

    aapki lekhni ko salaam sir…such surrender aaj hum bahut khush hogaye..wah wah!

  4. Rajni Malik says:

    Kya baat hai. Ek se ek kamaal ki kavita hai. Samajh mein nahin aata ki kis kis ki tareef karein aur kitni tareef karein.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Zareef AT Work