Sookhe Honth
सूखे होंठ
सूखे होंठ
जब प्यास की भाषा में बात करते हैं
तो उम्मीद की शाख़ पर आती है पहली पत्ती
होता है
बच्चे से पहली बार माँ सुन ने जैसा एहसास
सूखे हुए होंठ
मुस्कराहट के बादल की तरह फट जाते हैं
तहस-नहस हो जाता है शब्दों का सारा शहर
नहीं सुनाई देती जिस्म की पुकार
अपना सा कोई
फैल जाता है ज़मीन से आसमान तक
सर से पाओं तक
उम्मीद से आहों तक
छूने की खवाहिश ओस बन जाती है
और
मिलने की खवाहिश धूप
एहसास के पानी में बहता रहता है इंसान
सूखे होंठों के साथ भी
ज़िन्दगी को तर करता हुआ
अपने अंदर के मकान को घर करता हुआ
–==–
Sookhe Honth
Sookhe honth
Jab pyaas ki bhasha mein baat karte hain
To umeed ki shaakh pe aati hai pehli patti
Hota hai
Bachche se pehli baar maa sun ne jaisa ehsaas
Sookhe huye honth
Muskurahat ke baadal ki tarah phat jaate hain
Tahas-nahas ho jaata hai shabdon ka sara shehar
Nahin sunai deti jism ki pukaar
Apna sa koi phail jaata hai
Zameen se aasman tak
Sar se paon tak
Umeed se aahon tak
Chhoone ki khawahish os ho jaati hai
Aur
Milne ki khawahish dhoop
Ehsaas ke pani mein behta rehta hai insaan
Sookhe honthon ke saath bhi
Zindagi ko tar karta hua
Apne ander ke makaan ko ghar karta hua!
–===–
6 responses to “Sookhe Honth”
Leave a Reply
Lekjhni nahi ek ahsaas hai sab kuchh paa kar bhi kucch na paane ka, Zindagi ki Talkh Haqeeqat ka, ek Chubhan ka ……..”Chhoone ki Khwahish os ho jaati hai aur milne ki khwahish dhoop.”
Wakai sir..aap bas aap hain..
Bahut achhi kavita hai. Mann ko chhoone wali aur mann mein gehre utarne wali. ye bahut pavitar tareeke se pavitar prem ka dastavez bana diya hai aapne. Aap kamaal hain.
Excellent expression. Ye poem jhakjhor ke rakh deti hai andar se. Sach poochhiye to iss kavita ki khoobsoorti par kuchh keh pana bahut mushkil hai. Ye kavita kisi bhi tareef se badi hai.
Mohammed Yahya Saifi
a beautiful song
Friday at 3:10am via Facebook Mobile · Like
Kavita Palsekar
sir wow, lemme read again little difficult.. vvvery touching..
Friday at 3:12am · Like
Ratan Chand ‘Ratnesh’
भींगे होठों के बारे में तो बहुत कुछ सुना-पढ़ा था, सूखे होंठ भी कुछ कम नहीं.
Friday at 7:19am · Like
Atul Arora
Dhuley hue nek khayaalon ko nazm mein utaarna koi aap se seekhey ….
Friday at 8:43am · Like · 1 person
Dedipya Bhanu
देदीप्य भानु ”अपने अंदर के मकान को घर करता हुआ” kya baat hai kamil saheb..!! mureed ho gaye aapke…!!!
Friday at 9:51am · Like
Kavita Palsekar
Apna sa koi phail jaata hai
Zameen se aasman tak
Sar se paon tak
Friday at 9:56am · Like
Bulbul Claire
I feel this is the beautiful extension of ur quotes about love. Metaphors are very fresh. छूने की खवाहिश ओस बन जाती है
और मिलने की खवाहिश धूप…very beautiful expression for spiritual Love.
Friday at 11:29am · Like
Swapu Potphode
Sir Ji tussi kamaal ho, kisi ki puri zindagi ki kahani bus kuch lafzome bayan karna kamaal hi to hai, ham hamesha us ehasas ke piche bhagate hai Jo dil ko sukun de, fir chahe wo ehsas aaJ ka ho ya biti baato ka, I like the lines APNA SA KOI PHAIL JATA HAI ZAMEEN SE AASMAN TAK and CHUNE KI KHWAHISH OS BAN JATI HAI AUR MILNE KI KHWAHISH DHOOP, waiting for your comment for the same
Friday at 4:12pm via Facebook Mobile · Like
Ayaz Malik
to lafaz toot toot jate hain
Friday at 4:44pm · Like
Alok Ranjan Jha
IRshaad sahab,Isi tarah ki Nazm ka intazaar kar raha tha, aaj aapne meri khwaish poori kar de,mazaa aa gaya , Shukriya
Friday at 5:11pm · Like
Ratan Chand ‘Ratnesh’
हर हाल में अच्छे लगें, मृगनयनी के होंठ
भींगे हों तो अदरक लगें, सूख जाये तो सोंठ
Friday at 5:56pm · Like · 1 person
Sibtain Shahidi
wah ratan sahab.. kamaal kar diya aapney zabaan pe lazzat paida ho gai..
Saturday at 12:35am · Like
Irshad Kamil
Sab doston ka bahut shukriya meri hausla afzai ke liye.
@ Ratnesh ji bahut bahut khoobsurat likha hai aapne. Bahut he badhiya. Badhai.
Saturday at 2:35am · Like · 1 person
Ratan Chand ‘Ratnesh’ Thanks…
Saturday at 7:46am · Like
Garima Srivastav
देह से शुरु हो कर प्यास की भाषा तक जाना मूर्त से अमूर्तन की ओर एक सघन यात्रा है जिसे आपने उम्मीद की शाख़ पर आई पहली पत्ती से जोड़ कर फिर से अमूर्तन से मूर्त में लौटाया है जो एक खू़बसूरत शिल्प का नायाब उदाहरण है…सूखे़ हुये होठों के फटने में …
Saturday at 9:07pm · Like · 1 person
Vimal Chandra Pandey
Apne sundar sahaj aur upekshit shabdon aur bimbon ka shehar basa diya hai, badhai
Yesterday at 3:39pm via Facebook Mobile · Like
DrMrunalinni Patil
@garima has given a detailed review of praise i second her…precious gem keep rising.
13 hours ago · Like
Irshad Kamil @ Garima Aapka vishleshan kisi bhi hindi aalochak se kam nahin. Aap kamaal hain iss vishay mein.
@ Vimal bhai shehar to hai..usmein Aatma kaise aayegi
@ Dr Mrunalinni You rightly said that Garima Reviewed the poem like reviewer if u sec…See More
2 hours ago · Like
Tarana Badshah
again awesomacious!!♥
Sir aap to maar hi daaloge. Pyar ka intna achha ehsaas, kahin aur nahin. Aap bahut badi soch wale lekhak hain.
WAH IS TARAH SE MAKAN KO GHAR KARNA WAQAI ”FARHAD HONE JAISA HAI ALHAMDULILLAH ,ALLAH KARE ZOR-E-QALAM AOUR ZIYADA”