Bahar Nahin Aata
दिल दर्द के लगान से बाहर नहीं आता
ये क़र्ज़ है किसान से बाहर नहीं आता
हर वक़्त वाह वाहियाँ चाहा करे कोई
तारीफ़ की थकान से बाहर नहीं आता
मैं रूह की बातें लिये दहलीज़ पे खड़ा
तू जिस्म के मकान से बाहर नहीं आता
जो लफ्ज़ तार तार सा होंठों पे है बिछा
वो तीर है कमान से बाहर नहीं आता
बेख़ौफ़ है ज़मीर से वो जानता है कि
मुर्दा क़बरिस्तान से बाहर नहीं आता
तू क़त्ल कर कसूर ना मेरा मुझे बता
कि मैं कभी कुरआन से बाहर नहीं आता
बेफ़िक्रियाँ ख़रीद के “कामिल” औलाद की
बेफ़िकर मैं दुकान से बाहर नहीं आता
–==–
Dil dard ke lagan se bahar nahin aata
Ye karz hai kisaan se bahar nahin aata
Har waqt wah wahiyan chaaha kare koi
Tareef ki thakaan se bahar nahin aata
Main rooh ki batein liye dehleez pe khada
Tu jism ke makaan se bahar nahin aata
Jo lafz taar taar sa honthon pe hai bichha
Vo teer hai kamaan se bahar nahin aata
Bekhauf hai zameer se vo Jaanta hai ke
Murda kabristaan se bahar nahin aata
Tu qatal kar kasoor na mera mujhe bata
Ki main kabhi qur’aan se bahar nahin aata
Befikriyan khareed ke “Kamil” aulaad ki
Befikar main dukaan se bahar nahin aata
–===–
4 responses to “Bahar Nahin Aata”
Leave a Reply
Bahut hi behtareen Ghazal Likhi Hai Kamil Sahib.Shuruaat aisi ki hai ke,ki Soch unhi Lafzon main ulajh ke reh Jaati hai..Dil Dard Ke Lagaan….Wah Bahut Khoob likha hai.
Aray Janaab kaise likhte ho itni Gaharai se..kya Shair likha hai “Main Rooh ki Baaten liye Dehleez Pe Khada, Tu jism ke Makaan se Bahar Nahi Aata.”
Kamaal hai Sir.Ek Ek Shair apne aap main ek DEEWAAN samete hai..Makte main kya Haqeeqat se aashna Karwa diya. “Befikar Main Dukaan…..”Bahut Umdah hai.Really You are Matchless.
Bahut hi behtreen Ghazal hai. Ek ek she’r sochne par theharne par majboor karta hai.ye she’r ” Main rooh ki batein liye dehleez pe khada
Tu jism ke makaan se bahar nahin aata’ best she’r hai. There are people who feels physical requirement is love. Sorry for those. Aur akhiri She’r is reality of life. Kamaal hain aap.
Wah…Wah…main to baar baar padhne ko majboor ho rahi hun.
Mohd Adnan, Irm Zafar, Ajay Kanagat and 22 others like this.
Neelesh Misra
irshad, this is stunning piece of writing! in both craft and soul … congratulations, what a pleasure … thanks for sharing
September 16 at 11:16pm · Like
Irshad Kamil
Ohh…thanks Nilesh I just frgt to tag u…Hope u r doing gr8.
September 16 at 11:17pm · Like
Neelesh Misra
I am well, am moving to Bombay. Baithte hain kabhi, mehfil jamegi …
September 16 at 11:18pm · Like
Harish Bhatia
Yes,Irshad;It’a breakthrough;keep it up!!And,if possible,get it set to music!!
September 16 at 11:20pm · Like
Mumtaz Naza
Wah waah Kamil Sahab
main rooh ki baaten liye dahleez pe khada
tu jism ke makaan se baahar nahin aata
kya khoob, kya kehne
jo lafz taar taar sa honton pe hai bichha
wo teer hai kamaan se bahar nahin aata
lajawaab
September 16 at 11:21pm · Like · 1 person
Irshad Kamil @ Sure Neelesh.
@ Harish sir Jagjit Bhai gayenge na 🙂
@ Thank u so much Mumtaz Ji…I am humbled.
September 16 at 11:27pm · Like · 1 person
Rahul Tripathi
kya bat hai,i also like u as a lyricist.
September 16 at 11:34pm · Like
Aslam Assu
waah waah irshad kamil sahab kya kehne bohat khoob,bohat hi umda,laajwaab kalaam hai,khush aabad rahein
September 16 at 11:34pm · Like
Parvez Akhtar
bahut hi umda shayri bahut pasand ayee
September 16 at 11:39pm · Like
Kumar Suryavanshi
bahut khoob:-)
September 16 at 11:44pm · Like
Irshad Kamil @ Rahul Thanks.
@ Aslam Duaon ke liye shukriya.
@ Parvez Bhai Hausla afzai ke liye shukriya. Dua mein yaad rakhein.
September 16 at 11:44pm · Like · 1 person
Avi Upadhyay
sorry sir but last 2 lines samj ni aayi hai :((…
Bt mai rooh ki baatien liye line is amazin… Ma favourate….
September 16 at 11:45pm via Facebook Mobile · Like
Shayad Shrikant
Kya Khoob…कि मैं कभी कुरआन से बाहर नहीं आता.. Khoob mukammal Ghazal Irshad bhai..
September 16 at 11:48pm · Like
DrMrunalinni Patil
AWESOME , INTENSE AND SO MANY SHADES TO THE POEM RARE GEM OF YOUR POETRY COLLECTION .PAIN STRENGTH…. NEENDSE PEHLE KI YAAD AAYI AAJ…Dil dard ke lagan se bahar nahin aata
Ye karz hai kisaan se bahar nahin aata
APRATIM APRATIM …aakhiri sh…See More
September 16 at 11:53pm · Like · 1 person
Abdul Vahab Mohammed
saadgi se apni baat kehna koi aapse seekhe sir…..khoob,bhaut umda
September 16 at 11:54pm via Facebook Mobile · Like
Smr Iti
Irshadji – bahut khoob. Ismein to lagbhag har lafz teer ki tarah hai…teekha hai par bhetereen hai.
September 16 at 11:55pm via Facebook Mobile · Like
DrMrunalinni Patil
waiting for you gurinder ji to elaborate the poem…
September 17 at 12:01am · Like
Mehnaz Javed
beshak akhari shair her ek ki zindgi ki haqeeqat hai kya baat kehi hai aapne
September 17 at 12:02am via Facebook Mobile · Like
Irshad Kamil @ Thanks Kumar.
@ Avi kabhi kabhi poetry ke liye thoda sa dimag pe zor dena padta hai…koshish karo…nahin samajh aaya to explain kar dunga.
@ Thanks Dr Sa’b as said to AVI…wil explain later….tilll then try once again.
@ Shrikant Mohabbat ke liye shukriya.
@ Vahab Sa’b ‘Hum sada tabiyat logon ka kya sajna sanwarna sahib ji’
@ Smriti shukriya, sab tareef allah ki.
September 17 at 12:06am · Like
Irshad Kamil @ Mehnaz Bhabi Shukriya…Zindagi ki Haqeeqat samajhna hi thoda mushkil hota hai…right na?
September 17 at 12:08am · Like
Afshan Shafiq Hussein
Touched the heart immensely……behtreen n lajawab…
September 17 at 12:13am via Facebook Mobile · Like
Bharat Tiwari
बेफ़िक्रियाँ ख़रीद के “कामिल” औलाद की
बेफ़िकर मैं दुकान से बाहर नहीं आता….. waah
kahan aasan hai befikr wapas aana …. aulad ki fikr kahan khatm hongi kamil saheb….
September 17 at 12:24am · Like
Irshad Kamil @ Thanks afshan Jo @ Yup Bharat.
September 17 at 12:44am · Like
Amal Donwaar
मैं रूह की बातें लिये दहलीज़ पे खड़ा…तू जिस्म के मकान से बाहर नहीं आता…
Itna hi kya kam tha ki yeh bhi arz kar diya…
तू क़त्ल कर कसूर ना मेरा मुझे बता…कि मैं कभी कुरआन से बाहर नहीं आता…
Bahut khoob… 🙂
September 17 at 12:50am · Like
Gurinder Singh Azad
Great bro. मैंने इसे घूँट घूँट पिया है. इस ग़ज़ल में आतम-मंथन, शिकवों, दरपेश हकीक़तों, कशमकश और इन सबके चलते इंसानी मानसिकता सब कुछ है. आप शायरी खुद हिमालय हैं. लेकिन आपकी शायरी में सेहरा, समुंदर सब कुछ है. इस व्यापकता से मैं बहुत सकारातमक रूप से हैरान हूँ.
जो लफ्ज़ तार तार सा होंठों पे है बिछा
वो तीर है कमान से बाहर नहीं आता
मैंने इस शेर को कई मरतबा पढ़ा है.
रात का एक बजा है और आपकी ग़ज़ल ने मेरी थकी आँखों के किवाड़ पूरे खोल दिए हैं, झुकी हुयी पीठ सीढ़ी कर दी है, और ज़हन के खड़े पानी में लहरें उठा दी हैं…. आपकी सोच और बुलंद शायरी को मेरे इस ग़ज़ल के सच्चे शब्दों सरीखे ढेरों सलाम मेरे भाई !!
September 17 at 1:08am · Like · 1 person
Spandan Pandey मैं रूह की बातें लिये दहलीज़ पे खड़ा
तू जिस्म के मकान से बाहर नहीं आता
bahot khoob irshad bhai. ye sher humare dil ko chhoo gaya. matla bhi naye andaz ka hai.god bless
September 17 at 1:15am · Like
DrMrunalinni Patil
@gurinderji thanx a lot i was waiting for your elaboration…:)
September 17 at 1:25am · Like
Shakti Barthwal
sir…maza aa gaya….
Taarifon ke liye yun toh shabd hain bahut …Par kinn shabdon ko chunu, samajh mein nahin aata……..
September 17 at 1:54am · Like
Ratan Chand ‘Ratnesh’
खुद में ही रहता है गुमसुम, वो शख्स अपने मकान से बाहर नहीं आता…
September 17 at 6:23am · Like
Atul Arora
vo kalam hokar kalam hi ko bo raha hai
tu beej hokar beej se baahar nahin aata
September 17 at 7:11am · Like
Shadab Ghani
bahut khob
September 17 at 7:54am · Like
Avi Upadhyay
kk sir…. waitin for ur explaination….:)).. pardon me, sir m nt able to interpret..
September 17 at 8:02am via Facebook Mobile · Like
Imran Khan
Loot liya sir ji apne…….hala ki poemm hai Bahar nahin aata….agar yeh khayal apka , apke zehen se bahar nahi aata toh hamarii bohott badi lose hoti ji, its awesomee
September 17 at 8:21am · Like
Zareef Ahmed
तू क़त्ल कर कसूर ना मेरा मुझे बता
कि मैं कभी कुरआन से बाहर नहीं आता
बेफ़िक्रियाँ ख़रीद के “कामिल” औलाद की
बेफ़िकर मैं दुकान से बाहर नहीं आता ….
After a long time… instant Wah from my lips.. thanks
September 17 at 8:21am · Like · 1 person
Zafar Irshad
Maza aa gaya Irshad ji…Aapki shayri kamal ki hai….khobsurat…
September 17 at 8:53am · Like
Ish Madhu Talwar
irshad bhaai, yah gazal seedhe dil par chot karti hai…hamaari dua hai k aap aise hi kalam se lafzon ka jharna bahaate rahin aur log unmein dubkiyaann lagaate rahein…
September 17 at 9:38am · Like
Madhurjya Baruah
beautiful irshad ji…..
September 17 at 10:07am · Like
Arnab Goswami
Irshad ji, Matla is just awesome and the ashar #2,4,5 are great…Deep philosophy and balanced poetry is a recipe for wonderful ghazal… Keep it up..
September 17 at 10:51am · Like
Sumie Neesha
wah..
September 17 at 10:56am · Like
Rutuja Athalye Kathe
Excellent…every couplet is full of philosophy of life and its still too much entertaining. Amazing work Irshad ji…WHAT I GUESS FROM LAST COUPLET is…this world is like BIG shop…if i buy happiness or tension free life for my near n dear ones by doing wrong or by compromises then those wrongs n compromises put burden on my my Mind. Coz i m answerable to God. Am i write Irshad Ji?
September 17 at 11:37am · Like
Ashwin Eshan
bahut khoob…aapke gaano ke beech yeh gazal maano sitaaron ke beech poonam ka chaand..
September 17 at 11:51am · Like
Atifa Khan
wah bhaijaan wah
September 17 at 11:51am · Like
Kazima Khan
Wah ji Wah…Bahut khoob…behtreen hai… I like RUTUJA what u explained…very widely explained…one interpretation can be ‘how i will pay back the debts of this shop from where i m buying happiness for my children’…Irshad ji wil expla…See More
September 17 at 12:21pm · Like · 1 person
Parminder Kumar MAASHAALLAH!!…Kitne Rang Hain Is Ghazal Mein!!…Saaton Rang Hain!!…Har Rang Khoobsurat!!…Mukkammil Ghazal…Kya She’r Hai “Tu Jism Ke Makaan Se Bahar Nahin Aata”…Aur “Main Qur’aan se Bahar Nahin Aata” Wah!!…Kitna Achha Bayaan Kiya Hai Isalami Samaj Ka Dard!!…Makhta Bhi Khoob Hai…Har Insaan Apne Bachchon Ke liye Khud Ko Roz Bechta Hai…WAH!!…
September 17 at 12:27pm · Like
Khalid Khan
Irshad sb..as usual simple n thtful..is ghazal ka matla hi bahut khubsurat hai jo daurehazir ki akkasi bhi hai..
I second Mumtaz mam..mera bhi pasandida sheir yahi hai…
मैं रूह की बातें लिये दहलीज़ पे खड़ा
तू जिस्म के मकान से बाहर नहीं आता…..See More
September 17 at 12:57pm · Like
Seema Sharma Vashistha
irshaadji kya khoob likhte hain aap…mere paas toh taarif ke liye bhi shabd nahi hain!!..last lines r too gud!…behtareen! bemisaal!!
September 17 at 1:44pm · Like
Shailesh Pratap Singh
मैं रूह की बातें लिये दहलीज़ पे खड़ा…तू जिस्म के मकान से बाहर नहीं आता……
” Khuda ne bakshi hai tujhe jo funkaari Kamil…Koi Harf tere Kalam ka bezubaan nahi aata’ bahut Ummda Bhai…Bahut accha ..maza aa gaya!!
September 17 at 1:50pm · Like
Irshad Kamil
@ Amal Allah jab deta to hamara daman nahin apni dariyadili dekhta hai…hai na:-)
@ Gurinder Bhai hamesha ki tarah tashreeh ke liye shukriya.
@ Sapandan behad shukriya.
@ Shakti dua kar Allah kuchh aur inayat kare.
@ Ratnesh ji…@ Atul sir aap dono ne kamaal silsila badhaya hai…bahut khoob.
@ Shadab Thanks.
@ Imran ‘Main loot ke bhi khali haath hun…Tum lut ke bhi malamaal”
@ Zareef bhai…meri Aah pe… Wah ke liye shukriya…
September 17 at 3:12pm · Like
Harpreet Kaur Azad
Its a MASTER PIECE Irshad ji! Wonderful… After a long wait… but it was worth the wait…
September 17 at 3:14pm · Like · 1 person
Irshad Kamil
@ Zafar Sa’b i m humbled.
@Ish ji duaon ke liye shukriya.
@ Madhurjya thanks.
@Arnab thanks for liking few ashar.
@ Sumie THNX
@ Rutuja u really explained very well. Very nice…I am happy that u are understand poetry so well. U really surprised me. Khudos.
@Ashwin Geet ho ya Gazal sab apne he bete betiyan hain.
@ Atifa Ma’am mere page pe aane ke liye aur comment karne ke liye aapka bahut bahut shukriya.
@Kazima you are very gud in ur explaination. U and Rutuja explained the last sh’er truly well. thank u to both.
@ Parminder babu bade dino baad dikhai diye…sab theek?
September 17 at 3:23pm · Like
Irshad Kamil
@ Khalid Sa’b ‘sada insaan sada hi to likhega sir:-)
@ Seema ji main to wahi likhta hun jo mujhe likhna aata hai…lekin aapki tareef usey khoob bana deti hai…shukriya
@Shailesh ‘sab Funkaar Mohabbat ke”
@Advocate sa’b Khushamdeed.
September 17 at 3:27pm · Like
DrMrunalinni Patil
i did try to feel the last sher .. what i understood is while i buy peace n joy for my loved ones i never return without worries..hope iam somewhere appropriate shayar sa’b…
September 17 at 4:47pm · Like
Reena Pareek
bahut khoob kamil sahab …agar jagjeet ji gaa den toh mukammal ho jaye …..
September 17 at 5:28pm · Like
Runjhun Sharma
its a lovely creation by irshad ji . he is day by day surprising us with his talent . this one was a sweet change fro movie songs. i liked the ghazal. wish he gives us more good songs and ghazals .
September 17 at 5:58pm · Like
Rutuja Athalye Kathe
* Irshadji, Thanks a ton…m blissful to know dat u r happy & surprised…………
it’s so excellent & wonderful that my appreciation was my spontaneous reaction…
September 17 at 6:20pm · Like
Kavita Palsekar
lajawab, astonishing ghazal sir.
September 17 at 9:18pm · Like
Uddeept Dutt Gaur Bhai
for you…
मैं अपने फ़ैसले को बदल भी दूँ मगर तू
अपने दिए बयान से बाहर नहीं आता
….
Great sir…
September 18 at 6:57am · Like
Neelam Jha
kya baat hai irshadji…bahut khoob…
September 18 at 3:54pm · Like
BK Manish Damn!!
Its almost a classic ghazal.
While you hv resorted to some cliche yet done wonders soon after.
Wordplay is irritating (even sm methaphor) at a few points but equally noteworthy is usage of ‘waah-waahiyan’ and ‘lafj taar taar sa’. This ghazal definitely deserves several careful readings.
“Shabd-Shakti” ka poora paath yaad aane lagaa mujhe.
Have problems with ‘haasil-e-ghazal’ couplet though…something about its structure is not quite right…can’t point now…but u surely get the drift.
@Rutuja- u did surprise me. Plesantly.
September 18 at 4:01pm · Like
Jharna Biswas
kya khub kamil saab…bahat hii khubsurat…01 mein meine kuchh likha thaa, apki pangti mein woh yaad dilaya fir…usika link ihan…aap paRenge to bahat khushi hogi…
September 18 at 7:15pm · Like
Garima Srivastav
Vidambanaaon aur seemaaon mein fhase vyaktiyon ki samvedna ko behtar dhang se prastut kiyaa hai…jakdan is kadar hai ki bahar nikalne ki chatpatahat nahin dikhayee deti…bhartiya samaaj ki yahi sacchayee hai ki bandhanon ka gyaan to hai nikalne ki tadap nahin…yahi wajah hai ki aazaadi ke 6 dashakon baad bhi na to takatvar netritva hai aur na hi majboot aandolan…kisaan karz se bahar aaye bhi to kaise…uski chatpatahat haasya vayag mein tabdeel ho chuki hai jaise” peepli live’…sach baat ye hai ki teer ko dhanush tak laane ke liye anyaay ke virudh seene mein aag ka dhadhakna zaroori hai…aise daur mein jab tathakathit mahapurush joota aur chatni bechte nazar aa rahe hain tab yugantar ki ummeed divaswapn hi hai…aise mein jaagarook vyakti befikar reh hi nahin sakta- dukhiya das kabir hai jaage aur roye…
September 19 at 10:19am · Like
Irm Zafar Wah bahut khoob, ek aur taj mehal.
September 20 at 1:10am · Like
Ajay Kanagat
murda kabristan se bahar nahin aata, kya kehne/ aise hi aachi shayari karte rahiye aap kamyabi ki bulandiyon pe pahunchenge.
September 20 at 9:06pm · Like · 1 person