December 26, 2009

Ghazal-4

Ghazal-4

Pehle to dil mein bas gaya imaan ki tarah

Ab baat bhi karta hai to ehsaan ki tarah

Aankhon mein kai ghazalein hain honthon pe kai geet

Ye kaun hai jo hai mere deewan ki tarah

Kyun poochhta hai choomi kyun teri hatheliyan

Sach ye hai tere haath hain Q’uraan ki tarah

Ashqon ko apna maana tha us mehjabin ke baad

Aankhon mein ye bhi thehre hain mehmaan ki tarah

Khat jisko maine bheje the khawabon mein sajakar

Lauta gaya hai aaj vo samaan ki tarah

‘Kamil’ bata de duniya ko ehsaas ka rutba

Girtey ko uthati hai jo nuksaan ki tarah

–===–

ग़ज़ल-४


पहले तो दिल में बस गया ईमान की तरह

अब बात भी करता है तो एहसान की तरह

आँखों में कई ग़ज़लें हैं होंठों पे कई गीत

ये कौन है जो है मेरे दीवान की तरह

क्यों पूछता है चूमी क्यों तेरी हथेलियाँ

सच ये है तेरे हाथ हैं कुरआन की तरह

अश्कों को अपना माना था उस महजबीं के बाद

आँखों में ये भी ठहरे हैं मेहमान की तरह

ख़त जिसको मैंने भेजे थे ख्वाबों में सजाकर

लौटा गया है आज वो सामान की तरह

‘कामिल’ बता दे दुनिया को एहसास का रुतबा

गिरते को उठाती है जो नुक्सान की तरह

–===–

5 responses to “Ghazal-4”

  1. Rutuja says:

    Beautiful Irshadji… deep & emotive…

  2. Rakhi says:

    No doubt it is very beautiful.. though I found this one sad…
    especially,
    ‘Ashqon ko apna maana tha us mehjabin ke baad

    Aankhon mein ye bhi thehre hain mehmaan ki tarah

    Khat jisko maine bheje the khawabon mein sajakar

    Lauta gaya hai aaj vo samaan ki tarah..’

  3. Prashant AR Kumar says:

    “ख़त जिसको मैंने भेजे थे ख्वाबों में सजाकर

    लौटा गया है आज वो सामान की तरह”

    aapne to dil hi nikal kar rakh diya hai Kamil sahib.

  4. Fazal Imaan says:

    Sir U r A Magician of words.
    We r thankful to God for having U in this era.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Zareef AT Work