Hai To Hai
है तो है
मेरे अंदर झाँक कर
तुम क्या करोगे जाने दो
इक पुराने महल के
खंडहर सा बियाबान है
मेरे दिल में इक अधूरी
आरज़ू का दर्द है
अनकही ग़ज़लों का मेरे
ज़ेहन में दीवान है
अपनी कुछ ग़ज़लों को मैं
फूलों की तरह गूंथ कर
तेरी ज़ुल्फों को सजाऊँ
ये भी इक अरमान है
–===–
Hai To Hai
Mere ander jhaank kar
Tum kya karoge jaane do
Ik purane mahal ke
Khandhar sa biyabaan hai
Mere dil mein ik adhoori
Aarzoo ka dard hai
Ankahi ghazalon ka mere
Zehan mein deewan hai
Apni kuchh ghazalon ko main
Phoolon ki tarah goonth kar
Teri zulfon ko sajaun
Ye bhi ik armaan hai
–===–
7 responses to “Hai To Hai”
Leave a Reply
Beautiful,you have got a magical way of weaving emotions.Sir once again thanx its a treasure infinite.;)
Kamaal hai. bahut hi achha likha hai. bahut aam lafzon mein bahut khaas baatein. Aapka ye hunar kamaal hai aur aap lajawaab.
AZZAB DUNIYA HAI DILWALON KI YEH DUNIYA,
KISI SE DIL NAHIN MILTA,KOI DIL SE NAHIN MILTA.
sweet and simple yet touching and soulful…lovely
WAH !”ANKAHI GHAZLON KA MERE ZEHN MAIN DEEWAN HAI”BAHOT KHOOB IRSHAD JI!IS DEEWAN KO ZUROOR PADHNA CHAHOONGI
It is beautiful sir!!
Truly amazing.
thanks ji. keep on visiting.