Jab
जब
सुरमई रस्तों पे जब
कोई चाँदनी तेरी शकल में
चलती है तो सन्नाटे में
इक सेंध सी लग जाती है
पड़ जाती हैं लाखों दरारें
खामोशियों के बदन पे
किसी गीत की महक लिए
आती है कोई सांस फिर…
—==—
Jab
Surmai raston pe jab
Koi chandni teri shakal mein
Chalti hai to sannate mein
Ik sendh si lag jaati hai
Pad jaati hain laakhon daraarein
Khamoshiyon ke badan pe
Kisi geet ki mehak liye
Aati hai koi saans phir…
–==–
7 responses to “Jab”
Leave a Reply
Kisi geet ki mehak liye
Aati hai koi saans phir/
bahut khoob sir. kavi kitne lucky hotey hai har jazbaat ko shabd de sakte hai..
Aapki shayari ki SAHIRI (Magic) yahi hai ke pehli line padhte hi insaan ik pal ke liye sab bhool jaata hai aur lafzon ke saath behta chala jaata hai..
A usual this is also the same and full of delicate fragrance of love..
Alfaaz kaise chunte ho…Kamaal karte ho..
‘Koi Chandni jab teri Shakal main Chalti Hai, to sannate main iksendh si lag jaati hao…” Really mind blowing..
Beautiful Writing,Sir..Bahut hi acchi Manzar Nigari ki hai……”Jaise chandni raat main halki sard hawa main,Gaon ki khamosh pagdandi pe chala ja raha hun…Kisi ki Pakeezah mohabbat ka Ahsaas liye…” Bahut hi romantic likha hai.
So lovely & heart touching…Irshadji
Excellent visual poetry. One can see it while reading. Irshad ji u are very Impressive n expressive writer.
Bahut hi khoobsurat likha hai aapne. Aapke songs bhi bahut achhe hote hain.Aap bahut achha likhte ho dil o chhoo jata hai.
Its really gud Irshad ji. Its not poetry but painting of words.