Kai Aur Bhi Hain
GAFLAT ke mare
Kai aur bhi hain
Khuda ke sahare
Kai aur bhi hain
Kis kis ko dekhein
Sochein kise ab
Tumhi se hamare
Kai aur bhi hain
Nazar mein chadhey ho
To dil ko bhi dekho
Kasam se nazarey
Kai aur bhi hain
Jo dil maanga humne
To bole vo “Kamil”
Tere jaise ja re
Kai aur bhi hain
–==–
9 responses to “Kai Aur Bhi Hain”
Leave a Reply
Sir…. aapto bilkul anokhe ho… aapke jaisa shayad hi koi hoga..!
Nice poetry Shyar Sab..Har shaks ki zindagi mein yeh gile shikwe uske sath hi jude rahte hain..Yeh kaisi byar chali , ki Har shaks yahan sab kuchch pake bhi adhoora sa hi lage…
this is amazing…
Bahut khoob huzur-e-aala ! Ghazal mein khayaal ki parwaaz aasmani na ho ke, ek shakh se doori shakh per dolti mehsoos ho rahi hai. Aapke bare mein ye baat main kai martaba keh bhi chuka hoon ki aapke mudde aaspaas ke hain… ve zamini hain aur aam logon ke liye hain. Ye ghazal aam-o-khas ki zindagi se jude vaakyon ka libaaz pehne hai. Mujhe isay khurdbeen se nahi dekhna pad raha hai… yehi vajeh hai ye mere aas paas ki baat hai. Khoob !!
kash Khuda sab ki sun paata….
sir,
i m ur after listening the songs of azab prem ki gazab kahani.
your each and every words seem to be deepest part of your heart.
i mean i m ur fan….
sir pls change your website design………………… dst mach wit your charecter…… who is the rubbish designer……pls change it
Love u Sir!!
love to hear watever u write…
-A die hard Fan of urs…