Maa-1
Chal uth maa ab ghar chaliye
Kis baat pe bol khafa ho gayi
Kyon shehar-e-khamoshan* mein so gayi
Chal uth maa ab ghar chaliye
Main chhota tha tu kehti thi
Mitti se khel ke aaun na
Ab tumne mitti odhi hai
Aur main kuchh bhi kar paun na
Tu jaane main bhi ziddi hun
Tujhe bina liye ghar jaun na
Chal uth maa ab ghar chaliye…
Bachpan se ab tak koi bhi
Meri baat na tune taali hai
Tu aaj baat na maanegi
Kyon aisi kasam utha li hai
Maa baat akhiri maan le tu
Tere bin ab ghar khaali hai
Chal uth maa ab ghar chaliye…
Jo kehte hain tu guzar gayi
Jhoothe hain saare ke saare
Main beta tera main jaanun
Vo kya jaanein tere bare
Ab dekh tu aise zidd na kar
Mere aansu minnat kar hare
Chal uth maa ab ghar chaliye…
Tune dukh seh kar jise pala tha
Us bête ka sukh dekh to le
Hai us ke haq mein aaj hawa
Hawa ka vo rukh ko dekh to le
Par iss pal beta rota hai
Uska rota mukh dekh to le
Chal uth maa ab ghar chaliye…
—===—
*Shehar-e-khamoshan=Grave Yard
17 responses to “Maa-1”
Leave a Reply
Aafreen
Bahut khoob.. Bahut hi marmik kathan hai maa ke baare mein.. Maa niraakar hoke bhi sakaar hai hamare man mein.. Han sach hai jhoothe hain wo log jo kahte hai maa ka wajood nahi hai… Maa ka ek hissa hoon main.. Jab galti karta hoon man mein se jhankti hai maa or kahti hai to galat hai beta. galti sudhar too.
Jab achcha karta hoon dil mein hi peeth thapthapati hai maa ki han beta aaj teri karni se garv se phoola hai mera seena..
Seene mein dil bankar dhadkati hai maa..aankhon se khushi ke aansoo bankar chali ati hai maa.. hothon se awaaz bankar bolti hai maa… uska wajood mujhme hai mujhme hai.. Jhoothe hain wo jo kahte hain maa ab nahi hai… Maa chippi baithi hai mere antekaran mein… Jab bhi pukaroonga chali ayegi maa, Pyar se puchkaregi, dapategi, dhero aashirwad degi meri maa…
Yeh baat to sach hai..maa ki jagah koi nahin le sakta. Par yeh bhi sach hai ke aapke words ne us feeling ko bahut sensitively express kar diya…..i dont know what else to type as a comment… rula diya… 🙂
irshaad bhai!
meri aakhon me nami hai,
maa ki yaad aisi aarahi hai ke bayan nahin kar sakta.
jitna dard aapne isme likha hai…
uthna hi dard hota hai na kam na jyada
“Jo kehte hain tu guzar gayi
Jhoothe hain saare ke saare
Main beta tera main jaanun
Vo kya jaanein tere bare
Ab dekh tu aise zidd na kar
Mere aansu minnat kar hare
Chal uth maa ab ghar chaliye…”
iss zidd ko thodna hi to parvardigar ne apne paas rakha hai…
ye dault bhi le lo, ye shouhrat bhi le lo….
dher saare sneh ke saath bharat
after reading these line… i have tears in my eyes… m speechless….
The pain is not on the day of missing our dear ones.
The pain is really when u live without them & with their presence in your mind.
Irshad ji… we are blessed to have such a poet among us… This is very touchy poem…. Beautiful
Bhai jaan..is kavita ke saaye mein bethe jazbaaton ke darpesh mere pass siva kuchh rivayati alfazon ke kuchh bhi nahi. Lekin aapki maa aapke shabdon mein zinda bhi hai aur aapke kareeb bhi ! Aur ye baat aap jante ho bhai… please take care of yourself.
Irshad bhai,us din ki aapki khamoshi aur emotions pe control is tarah bahar aayenge socha na tha,aapke is dard ka ehsaas baaqi sab par bhari hai…
bahut khoob……….
mashaAllah
Aha! kya khoob likha hai Irshad ji…main bhi muddat huyi Maa se door hi rah raha hun..In samvedansheel shabdon ne Ghar jane ki ummeed jaga di hai…
maa ke jaane ka dard sada rehega lekin yeh sabad use hamesha hamare sath rekhnge
After reading this poem irshad sir i really felt that how much i love my home.
irshad ji aaj yeh padh kar aankhon main aansu aa gaye..aaj bhi ammiji ka face aankhon ke saamne ghoom gaya…
……….. padh bhi nahi paaye ankhein dhundli ho rahi hai..iam so sad and sorry for your loss sir…:((((
i’m at a loss of words! u’v expressed ur pain so honestly n beautifully!
Beenu, Thanks a lot. Pain can also be beautiful.