Mohabbat Ki Baat
चलो मोहब्बत की बात करें
अब
मैले जिस्मों से ऊपर उठ कर
भूलते हुए की कभी
ज़रूरतों के आगे
घुटने टेक चुके हैं हम
और देख चुके हैं
अपनी रूह को तार तार होते
झूठे फ़खर के साथ
.
चलो मोहब्बत की बात करें
अब
ज़िन्दगी के पैरों तले
बेरहमी से रौंदे जाने के बाद
मरहम लगायें ज़ख़्मी वजूद पर
जो शर्म से आँखें झुका कर
बैठा है सपनों के मज़ार पे
मोहब्बत की बलि का मातम मनाता हुआ
.
चलो मोहब्बत की बात करें
अब
इससे बुरी कोई बात नहीं कर सकते
हम अपनी ही ज़िद्द में
धोखा दे चुके हैं अपने आप को
खेल चुके हैं ख़ुद अपनी इज्ज़त से
भोग चुके हैं झूठ को सच की तरह
.
अब
इन हालात में
मोहब्बत जैसी कोई
ग़ैरज़रूरी बात ही कर सकते हैं हम
–==–
Chalo mohabbaton ki baat karein
Ab
Apne maile jimson se ooper uthein
Bhooltey huye ki kabhi
Zarooraton ke aage
Ghutne tek chuke hain hum
Aur dekh chuke hain
Apni rooh ko taar taar hote
Jhoothe fakhar ke saath
.
Chalo mohabbaton ki baat karein
Ab
Zindagi ke pairon taley
Buri tarah raunde jaane ke baad
Marham lagayein zakhmi vajood pe
Jo sharam se aankhein jhukar
Baitha hain sapnon ke majaar pe
Mohabbat ko bali chadhta dekhne ke baad
.
Chalo mohabbat ki baat karein hum
Ab
Issey buri koi baat nahin kar sakte
Hum apni hi zidd mein
Dhokha de chukey hain apne aap ko
Khel chukey hain khud apni izzat se
Bhog chukey hain jhooth ko sach ki tarah
.
Ab
In halaat mein
Mohabbat jaisa koi
Gairzaroori kaam hi kar sakte hain hum
-===-
12 responses to “Mohabbat Ki Baat”
Leave a Reply
haan hota hai aksar kai baar zaroorat se aage , zidd se badhkar aur izzat se zyada kuch nahi hota .. bechari mohhabbat ka kya kasoor ya naata jo duniyadaari se door aur apneaap mein masoom hai.. bahut dard hai aapki kavita mein irshad… keep writing ,mashallah zakhmi huey aur beh nikale dariyaan khoon ke rooh se aise ,kavita bhi dekhiye kya kya kar jaati hai..khush rahiye .. keep rising…
Emotive and beautiful melancholy. It is a mirror not poem for those who thinks that physical proximity is LOVE…gr8 Irshadji.
Very nice expression of SOCALLED LOVE. Where one lie to oneself about purity of love and does not want to see objectively how impure he/she is. Wonderful usage of words with heartbeat.
A naked poem with naked feelings and naked expression. Superb.
Bahut achha likhtey hain aap. Ye poem bhi bahut achhi hai jismein prem ka ek alag roop pesh hua hai. Bahut he sachchai aur safai se aapne jismon ke khel ko mohabbat samajhne waalon par satire kiya hai. Pasand aayi.
Nice. Some connects with soul some with body although only body makes Human beings Animal. Excellent Expression.
बहुत खूब! जबरदस्त अंदाजे बयां! ये लफ्ज़ पढ़ने के दौरान हमारे थोड़े पास आते हैं. फिर जब हम कुछ और कर रहे हों या सोच रहे हों तो चिलकने लगते हैं और भीतर तक जज्ब होते जाते हैं। शायद ये लफ्ज हमारे सामने आने के पहले खारेपन की नमी में देर तक भीगे हैं और वक्त की बदलती हवा के थपेड़ों में सुखा रहे हैं खुद को ताकि हम इन्हें पढ़ सकें।
मोहब्बत हो तो उससे ज़रूरी कुछ भी नहीं और ना हो तो उससे ग़ैर ज़रूरी कुछ भी नहीं…
Ishwar Dost, Mrunalinni, Bulbul, Rutuja, Sargam, Reena n Rakesh thank u for ur lovely comments. I am humbled that u people liked the Poem. Regards to all of u.
beautiful thoughts irshadji. love it. so happy to see your words here again.
chalo mohabat ki baat karen,
lekin us se bhi pehle
jazbaat ko sula den,
roohon ko ghula den,
hum kon hain…yeh bhula den
aur phir
sirf aadat ki baat karen
chalo mohabbat ki baat karen.
lekin,
yeh baat hum batayen kyon
raah dushwaar aur
banaayen kyon
kyon qayamat ki baat karen
Again Gud Extension.