Tum aur September
Tum aur September
September ki hawa mein sarsarati
Jis nazam ko
Mausmon ne tumhare naam kar diya tha
Maine un mausmon ka
Ek geet bana kar
Tumhari payal mein piro diya hai
Ab tum apni payal ki jhankaar mein
Saare mausam dekh sakti ho
Dekh sakti ho ki mausamon aur suron ke beech kya rishta hai
Rishtey kaise badal jaate hain
Mausamon aur suron mein
Tum jab bhi rishton, mausamon ya suron ki baat karo
To September ki hawa mein sarsararti
Us nazam ko mat bhool jata
Jinhey mausamon ne
Tumhare naam kar diya tha
Tumhara naam
Khushboo ki tarah phail gaya tha hawa mein
Maine kaha
Hawa ke kaagaz par peid pattiyon ki kalam se
Tumhara naam likh raha hai
Jise padh rahi hai saanjh dhale ghar laut te
Panchhiyon ki kataar
Aur saamne peid par chehakti chidiyein
Un chidiyon ki chahak mein
Tum wahi sur paogi
Jo qaid hain tumhari us payal mein
Jismein mausamon ka ek geet bana kar
Maine bhi piroya tha…
—===—
9 responses to “Tum aur September”
Leave a Reply
irshadji… ek baar pada, dubara pada… abhi to mantra-mugdh hoon, jab mantar tootega to sayad kuch keh sakoon…
regards bharat
Wowwww. Superb lines.. Haan is payal mein kaid hain wo sare gam or khushiyan, us mausam ki bayar,us bahar ke rang.. Jab jab khankti hai wo payal, sunte hain wo sur or taal jo bune the us man ne, utara tha jin jazbaton ko shabdon ke khake mein or vada kiya tha kabhie us mausam or suron ke sangam ko na bhool jane ka…unhe ta umr sanjone kaa.. masha allah…
beautifully romantic and full of love…loving it 🙂
aapke lafzon ke motiyon se bani paayal ki knanak ne jo hawaaon mein jumbish paida ki hai ……. uss se september ki narm garam hawaaein …. april ko bhi sahelaa rahein hain ….aisi jhankaar ka mausam toh , har waqt hona chahiye ….. hai na ?
wakyi !!!!!!!!!!! kitani khubsurati ke sath apane bhao ko piroya hai in shabdo ke jariye
do such men exist??? who can love like dis….? the way u descibe thru ur words….?
Chikki True lover can truely love like this, i think.
Irshad sahab, it’s a very nice, maza aa gaya
September ke hawaaon kaa taaseer
Ab december mein dikh rha hai.
Tumhara husna ne bakhubi taiyaari kiya hai
Subah ke nazaaron ke tasveer
Ab dopehar mein dikh raha hai……..